Realme Narzo 30 Pro 5G Phone Review, Price - India me milne wala sabse sasta 5G Phone

5G connectivity ko India me aney me abhi saal do saal aur lagenge, magar market me 5G phones pichle saal se hi ana suru ho gaye hain. Inme zadatar phones bohot mehenge hain, magar Mi 10i, Moto g 5G aur Realme x7 jaise phone is kimat ko 20,000 Rs ke paas le aye.

realme narzo 30 pro 5g smartphone

Magar Realme ka naya phone Narzo 30 Pro is kimat ko aur bhi nichey le aya.

Ye India me milne wala sabse sasta 5G phone hai. 

Ye Mediatek ke 5G dimensity 800U processor se lais hain. 

Aur iski kimat Rs 16,999 se suru hoti hai. 

Yehi processor Realme ke x7 smartphone me bhi laga hai, magar in dono phone me kaafi saare fark hain. 

Jiske wajah se Narzo model saste daam pe mil raha hai.


Realme Narzo 30 Pro Specs And Price: -

1. Narzo 30 Pro specs -

  • 120Hz, 6.5 inch Full HD+ LCD Display
  • Mediatek ke 5G dimensity 800U processor
  • 48mp + 8mp (Ultrawide) + 2mp (macro)
  • 16mp Selfie Camera
  • 5000mAh Battery
  • 30W Fast Charger
  • Android 10 + Realme UI


2. Realme Narzo 30 Pro Price -

  • Rs 16,999 (6 / 64GB)
  • Rs 19,999 (8 / 126GB)


realme narzo 30 pro 5g smartphone

Now,


Narzo ki Design aur Display kaisi hai?

Narzo 30 Pro ki back par matte finish wali plastic back hai. Ye dekhne me glass jaisa lagta hai aur ekdum hi premium look deta hai.

Ye Realme x7 jitna halka toh nahi hai, magar utna bhari bhi nahi hai.

Iski banawat bhi aisi hai ki hath me araam se pakad me aa jata hai.

Iske side me fingerprint sensor laga huwa hai jo kaafi fast hai.

realme narzo 30 pro 5g smartphone

Rahi baat iske screen ki-

Toh Narzo 30 Pro ki LCD display kaafi sahi hai, speed brightness 600 nits ki hai aur dhoop me isse chalane par koi problem nahi hoti, chahe aap isse direct sun ke niche rakh ke chalaye. 

120Hz ka refresh rate scrolling effect ko kaafi fast rakhta hai.

realme narzo 30 pro 5g smartphone


Jin logo ko 120Hz LCD pannel se behtar 60 Hz ka super amoled pannel lagta hai unke liye company ne Realme X7 smartphone banaya hai.

realme x7 5g


Toh aaj ke liye itna hi, aisi hi latest smartphones of 2021 ke baare me aur jaanane ke liye humare is blog: 'Yes Breaking News' ko subscribe kare aur humare social media handles ko bhi zaroor follow kare.


Dhanyawaad!



Post a Comment

Previous Post Next Post