Chin ke sath border ko lekar chal rahe lambe tanaav ke baad, ab lag raha hai ki shanti wapas aa rahi hai.
Lekin jis samey seema viwadh ko lekar tana tani badhi hui thi, us samey Chin ne Bharat par Cyber Hamla kiya tha.
America ke charchith akhbaar New York Times ne apne ek report me ye jaankari di.
Khabar ke mutabik, is cyber hamle me Chin ne Bharat me power supply ko buri tarah se band kar diya tha.
Pichle saal garmi ke season me, Ladakh ki Galwan Ghati me Chin aur Bharat ke sainiko me jabardast hinsak ghadat hui thi. Isme dono taraf ke sainik hatahaq huwe the.
Is ghatna ke char mahiney baad, yani ki 13 October ko Galwan se saikado kilometer door Mumbai me achanak light chali gayi thi. Us samey Mumbai Township me bijli supply karne wali company ne kaha tha, ki bijli ki aapurti karne wale plant se grid fail ho gaye the.
- Is se local trains jaha ki taha tham gayi.
- Share Market me kaam thapp ho gaya.
- Hospitals ko apne emergency generators ON karne pade, kyuki bhari sankhya me Corona Mareez, jivan rakshak machino par zindagi aur maut ke bich jhul rahe the.
Ab ek nayi study ke mutabik NYT (New York Times) ne kaha hai ki Chin se seema ko lekar huwe vivaad, aur Mumbai me achanak bijli gull hone ke bich, connect ho sakta hai.
Isse Chin ka Bhartiya Power Grid par kiya gaya Cyber Hamla mana ja raha hai.
Reports ke mutabik -
Jab dono desho ke bich sangharsh chal raha tha, us waqt Chin Cyber Hamle me laga huwa tha..
Usne Malware, yani Hacking Software ko us control system me pohochane me safalta paa bhi li thi, jiske zariye Bharat bhar me Power Supply ko manage kiya jata hai.
Itna hi nahi Malware ke dairey me high voltage transmission wale sub-station aur koyle se chalne wale powerplant bhi the.
NYT (New York Times) ke mutabik Bhartiya System me Chini Virus ke khalal paida karne ka dawa Recorded Future naam ki ek company ne kiya hai. Ye company duniya bhar me unn malware pe nazar rakhti hai, jo desho ko nuksaan pohochane ke liye taiyaar kiye jaate hain.
Company ka dawa hai ki, Bharat ke System me jo Malware daale gaye; unn mese zyadatar ko active nahi kiya gaya hai.
Usne yeh bhi kaha hai, kyuki weh Bharat ki power companio ke system me nahi ja sakti; aise me ye batane me asamrath hai ki dala gaya Malware kitna khatarnak hai.
Halaaki Bhartiya adhikariyo ko is Cyber Attack ki jaankari de di hai. Unhone is baare me jaankari sajha nahi ki hai.
Recorded Future ke COO ka kehna hai ki, Chini Sarkar ki Red Echo naam ki ek firm ne is kaam ko anjaam diya hai.
Usne khash Cyber Takniq ka istemaal karte huwe, Bhartiya Power Generation aur Transmission Grid ke takriban ek darjan mahatwapurn notes me hasthchep kar liya hai.
Is khulashe ke baad sawal uthne lage hain ki, 13 October ko Mumbai me huwa Black-Out kya Bharat ko sandhesh dene ke liye tha?
Reports ke mutabik -
- Ek Bhartiya Adhikari ne bataya hai ki Chini Cyber Hamle par is mahine hi report aney wali hai. Halaaki weh aur anya adhikari is purey mamle par chuppi sadhe huwe hain.
- Udhar Cyber Experts abhi bhi uss Malware Code ko pata lagane me joote huwe hain, jo is khurafat ke liye jimmedaar hai.
Bharat ke Cyber Expert Retired Lt General DS Hooda ka kehna hai ki, Chin ne Bharat ko sandesh diya hai ki usme aisa karne ki chamtah hai aur sankat ke samay iska istemaal kiya jaa sakta hai, yah Bharat ko sandesh dene ki koshish hai.
Aap ko bata de ki Russ is tarah ke Cyber Hamlo ke liye mukhyaat mana jata hai, usne apne padosi desh Ukraine me do baar is tarah se Cyber Attack kar Black-Out kar diya tha.
Bataya jata hai ki America ki Power Supply Unit thapp karne ke liye Russ ne pehle bhi is tarah ke hamle karne ki kosish ki hai.
Toh aaj ke liye itna hi, aise hi latest, trending news padhne ke liye, apne is blog: 'Yes Breaking News' ko subscribe kare.
Dhanyawaad!
Post a Comment