Saal 2021 me ISRO (Indian Space Research Organisation) ne apne pehle mission me kaamyabi haasil ki hai.
28th February 2021, ko Andhra Pradesh ke Sriharikota se PSLV-C51 ko launch kiya gaya. Ye apne sath brazil ke Amazonia-1 aur dusare 18 satellites ko antariksh me le gaya hai.
- PSLV-C51 ko Satish Dhawan Antariksh Kendra se launch kiya gaya.
- ISRO ne apne bayaan me bataya hai ki, PSLV-C51 PSLV ka 53th mission hai.
- PSLV ka full form Polar Satellite Launch Vehicle hai, yani ye satellites ko apne sath antariksh me leke jata hai.
Isi PSLV ke madat se India ne 2008 me Chandrayaan ko launch kiya tha aur isi PSLV ke zariye saal 2013 me Mangal Mission ko bhi launch kiya gaya tha.
Toh PSLV ko Bharat Antariksh Missions ki Veer kaha ja sakta hai.
Akshay Kumar wali film Mission Mangal me bhi, aapne is PSLV ke baare me zaroor suna hoga.
Ab baat PSLV-C51 ke mission ki -
Is mission ke liye ulti-ginti saturday 27th Feb 2021 ki subah 8 bajkar 54 minutes pe suru hui thi aur Chennai se 100 km door Sriharikota se is mission ko 28 February ko subha 10 bajkar 24 minutes pe launch kiya gaya.
ISRO ki or se di gayi jaankari ke mutabik Amazonia-1 ka wajan 633 Kilo hai, is uppgrah ke alawa 18 anya satellites ko bhi Antariksh me bheja gaya hai.
PSLV-C51 ke seesh pannel par Bharat ke Pradhan Mantri Narendra Modi ki Tasveer bhi hai, sath hi digital card me Bhagwat Geeta ko bhi Antariksh me bheja gaya hai.
Amazonia-1 ki launching ke sath Bharat ki taraf se launch kiye gaye videshi sabhi satellites ki sankhya 342 ho gayi hai.
ISRO ke adhyaksh K Sivan ne bataya ki, Amazonia-1 ko Brazil ke vegyaaniko ne banaya aur vikasit kiya tha, ye uppgrah agle 4 saal tak data bhejega.
Iske zariye Brazil ko amazon ke chetro me hone wali jungalo ki katai ke baare me sateek jaankari milegi.
Amazonia-1 ki launching me Brazil se vegyaniko ka ek dal Bharat aya huwa tha.
Toh aaj ke liye bas itna hi. Aisi aur news padhne ke liye humare blog YES BREAKING NEWS ko follow kare.
B Bye.
Post a Comment