Kya 1 March se purey desh me dood ke daam 100 rupay prati litre hone wale hai?
Ye sawal ye sanka isliye uljhi kyuki, social media pe aisi khabre chal rahi hai. Kisaan netao ke hawale se ye dawa kiya ja raha hai ki, 1 march se dood ki kitmat 100 Rs litre hone ja rahi hai.
Kaha ja raha hai ki kisaan-kaanuno ke virodh me pradarshan kar rahe kisaan ab apni awaj buland karne ka ye tarika apnane ja rahe hain.
Utpaado ke daam badha rahe hain taki unki baat, purzor tarike se uthe.
Kya isme sacchai hai kya wakai dood ke daam badhne wale hain? -
Twitter pe trend ho raha hai hashtag -
- #1march_se_dood_100_litre
- #FarmersProtest
- #BJPseSabPareshan
27th february ki subha se hi twitter pe ye hashtags viral ho rahe hain. Is hashtag ke sath kai users ne ek hindi akhbaar bhi post kiye hain, jisme kisaano ka yelaan bhi hai. Is bayaan me dawa hai ki sarakar ne diesel ke daam badha ke kisaano ko girane ka prayash kiya tha aur ab kisaan bhi dood ka daam 100 Rs karenge.
Is khabar ki sacchai jaanne ke kuch reports ne sanyukt kisaan netao se puchtaach kiya, toh unnho ne kaha ki koi anukarik bayan unki or se zaari nahi kiya gaya hai. Sanyukt Kisaan Morcha ne kaha hai ki, unhone kisaano se aisa karne ki koi bhi appeal nahi ki hai.
Twitter pe jo trend chal raha hai wo, kuch upchaltau bayano ke aadhar pe social media users chala rahe hain.
Toh oye koi baat nahi ji, dil khol ke dood piyo aur apni life jio.
Oye jio simcard wala nahi jio, jeevan wala jiyo.
Aur ab toh 2-4 litre extra dood piyo.
Oye balle balle, oye sawa sawa...
Mai milta hu next news update ke sath, tab tak ke liye aap dood pite rahe, aur mauj me jeete raho.
B Bye.
Post a Comment