India vs England ke 4th test ke 2nd day ki updates, Rishabh Pant ne banaya 100, Washinghton Sundar 50

India aur England ke bich char test matcho ke series ka chautha aur nirayak mulabla khela ja raha hai.

ind vs eng test match

Pehle din England ki paari 205 runs pe simat gayi thi. Iske jawab me India team ki suruwat bhi acchi hai rahi.


Pehle din India ko opener Shubhaman Gill ke taur par pehla jhatka laga. Aur Shubhaman Gill bina khata khole khole hi wapas laut gaye.

shubhaman gill indian cricketer

Iske baad Rohit Sharma aur Cheteshwar Pujara ne koi bhi wicket girne nahi diya tha. 

cheteshwar pujara and rohit sharma

Day 2

Dusare din bharat ne 24 runs par 1 wicket agey khelna suru kiya. 

Ek taraf jaha Rohit Sharma England ke gend-baazo ka datt kar samna kar rahe the. Wahi dusri or India ne lunch tak apne 3 ahem wickets gawa diye. 

India team ko dusara jhatka Cheteshwar Pujara ke roop me laga. Jo Jacques Kallis ke gend par 17 runs banakar out ho gaye. 

jacques kallis england cricketer


Iske baad balle-baazi karne utre Virat Kholi, jo apna khata bhi nahi khol paye the ki Ben Strokes ki gend par wo wicket ke piche catch out ho gaye.


Lunch se thik kuchi over pehle Ajinkya Rahane bhi 27 runs banake James Anderson ke shikaar ho gaye. Is tarah Bharat ne kul 4 wicket gawa kar 80 runs bana liye the.

ajinkya rahane indian cricketer

Lunch ke baad India ko panchwa jhatka Rohit Sharma ke roop me laga. Rohit Sharma ne 144 gendo ka samna karte huwe 49 runs ki paari kheli. Aur apne ardhsatak se kewal 1 runs piche reh gaye. Wo bhi Ben Strokes ki gend par LBW out ho gaye. 

rohit sharma indian cricketer

R Ashwin ko Jacques Kallis 13 runs par Ollie Pope ke hatho catch out karwa diya. Tea time tak India ka score 153 runs pohoch gaya tha. 


Tea time ke baad Rishabh Pant ne aakramak andaaz me khel dikhate huwe 82 gendo me 4 chauke aur ek chakke ki madat se apna half century bhi pura kiya. 

Dusari or Washington Sundar bhi Pant ka bakhubhi sath nibha rahe the. Lekin Pant ka balla rukne ka naam hi nahi le raha tha. Udhar England ka koi bhi baller Pant ko rokne me kaamyab nahi ho paa raha tha. Rishabh Pant ne shandaar chakka marte huwe apna century bhi pura kiya.

rishabh pant indian cricketer


India ko sathwa jhatka Rishabh Pant ke roop me laga jo 101 runs ki shandaar paari khelte huwe James Anderson ki gend par Joe Root ke hatho catch out ho kar pavilion laute.

Rishabh Pant ke out hone ke baad Washinghton Sundar ne bhi apne 50 runs purey kiye.

washington sundar indian cricketer

Dusare din ka khel khatm hone tak Bharat ne apne 7 wickets gawa kar 294 runs bana liye hain. Aur India ne apne 1st inning me 89 runs ki badhat bhi bana li hai. Dusare din ka khel khatm hone tak Washington Sundar 60 runs jabki, Axar Patel 11 runs banakar criz par maujood hain.


Toh guys, ye tha 4th Test ka Ind vs Eng ke 2nd day ka haal. Toh aapko blog pasand aya hai toh isse share aur subscribe zaoor kare.


B Bye!



Post a Comment

أحدث أقدم