Anurag Kashyap, Vikas Behl, Taapsee Pannu ke ghar padi Income Tax ki raid | Tapsee Pannu Raid, Anurag Kashyap Raid

3 March ko Actress Taapsee Pannu, Director & Producer Anurag Kashyap aur Director & Producer Vikas Behl ke ghar aur properties par Income Tax ka raid pada tha. 

tapsi, anurag, vikas raid news

Chapa pureh 3 din tak chala, jab khatm huwa tab 6 March ko subah subah aya Taapsee Pannu ka ek tweet

tapsi pannu image

Apne is tweet me Taapsee ne bataya ki teen din tak Income Tax Department ki team unke ghar me, kya kya dhundti rahi.

Likha -

"3 din tak, 3 cheezo ki gahan khoj chalti rahi.

  • Mere Paris wale 'Kaalpanik' bangalow ki chaabhi. Kyuki garmi ki chuttiya aney wali hai.
  • 5 crore rupay ki 'Kalpanik' receipt, taaki future me iska istemaal kiya ja sake. 
  • 2013 ke uss chape ki yaad, jo humari mananiya vrit mantree ke mutabik mere yaha pada tha."

Yani chapa pura khatam hote hi, Taapsee ne gehra sattire daag diya hai.



Halanki abhi tak Anurag Kashyap ki taraf se is chape par koi bhi bayaan zari nahi kiya gaya hai.

producer and director anurag kashyap



Aiye jaan lete hain ki kin mamlo me ye chapemaari huwi? -

Abhi tak samne ayi jaankari ke mutabik, 2 alag alag mamlo me ye chapemaari ki gayi hai. 


First -

Pehla mamla Taapsee Pannu ke khilaaf hai. 
Income Tax Department ko ye shak tha ki Taapsee aur unki company ne karib 25 crore rupay ki chori k hai. 
Aur Taapsee ne karib 5 crore rupay cash liye hain. Isi ke janch ke liye chapa mara gaya. 
Sath hi Income Tax ne ye bhi dawa kiya tha ki 5 crore rupay cash payment lene ki receipt bhi Taapsee ke paas hain. Jis receipt ka zikr Taapsee ne apne tweet me kiya hai. 

indian actress taapsee pannu

Second -

Dusara mamla Phantom films ke share dharko ke khilaaf hai. Phantom films ke share holders par karib 600 crore rupay ki tax chori ke aarop me chape maare gaye. Ye bhi aarop laga ki share dharako ne Phantom films ki hissedari bechi. Iske zariye munafa kamaya, lekin uspe huwe munaafe par koi tax nahi chukaya. 

Anurag Kashyap, Madhu Mantena Varma, Vikramaditya Motwani aur Vikas Behl ne milkar, 2011 me Phantom films ke naam par company banai thi. 

Halanki October 2018 me ye company band ho gayi.

arurag kashyap, madhu mantena and vikas bahl producter and directors india


Toh abhi ke liye bas itna hi. Milte hain hum aur aap, naye khabar ke sath, aapke isi blog 'Yes Breaking News' pe.


B bye!




Post a Comment

أحدث أقدم