Hi!
15th March ko diversified engineering company Craftsman Automation ka IPO open ho raha hai.
Aur 17 March tak aap is IPO me GROWW App ke through apply kar sakte hain.
Craftsman Automation ki IPO details -
- Price Band : Rs(1488-1490)
- Lot Size : 10 Shares
- Operating Profit : 14.46%
- Net Profit : 5.20%
- Company PE : 48.20
- Industriy PE : 35.10
Is IPO ka price band hai Rs 1488 - Rs 1490 ke bich. Aur iska lot size hai 10 shares ka.
Craftsman Automation Business Segments -
Craftsman Automation ke teen main business segments hai - Automotive Powertrain and Others, Automotive Aluminium, Industrial and Engineering Division.Is company ke 7 cities me 12 states of the arts manufacturing facilities hain.
Craftsman Automation Clients -
Tata motors, Tata cummins, Quartz, Siemens, Mahindra & Mahindra jaisi badi companies Craftsman Automation ki clients hain.Craftsman Automation Operating Profit Margin and Return On Equity -
Company ka operating profit margin 14.46% ka hai. Aur iska return on equity 5.2% ka hai.Craftsman Automation Valuation -
Agar hum valutions ki baat kare toh company ka PE 48.20 ka hai. Jabki industry ka PE 35.01 ke aas paas ka hai.Aise dher sare IPO alerts ke liye 'Yes Breaking News' ke sath judde rahe.
Aur agge aap kisi IPO ki details janana chahate hain, usse comment zarur kare. Asha karte hain aapka din subh ho.
Thank you!
Post a Comment