Virat Kohli Pareshan, India ke playing 11 ki problem kaise hogi khatm? Upcoming India vs England T20 series on 12th March

Bharat aur England ke bich 12 March, 2021 ko Evening 7:00pm se T20 series ki suruwat hogi. 


Lekin is series se pehle hi team India ke caption Virat Kohli aur team management thodi si pareshani me hain. Darashal team selection ko lekar Indian Caption Virat Kohli ki tension kafi badh gayi hai. Unnhe samjh hi nahi aa raha ki T20 series me kaun kaunse khiladiyo ko playing 11 me shamil kiya jaye. 

indian cricket team coach ravi shastri and india team caption virat kohli conversating

Bhartiya team England ke khilaf 12 March 2021 se 5 matcho ki T20 series khelegi. 
India ne haalhi me England ki team ko test series me maat di hai. Aur upcoming T20 series me bhi jeet ki taraf dekh rahi hai. 

team india preparing for upcoming ind vs eng t20 series

Aaiye aapko batate hain, akhir kyu pareshan hain Virat Kohli - Kya hai assal pareshani?

England ke khilaf team India ne 19 players ko list kiya hai. 

Is team me Ishan Kishan, Suryakumar Yadav aur Rahul Tewatia ko pehli baar India ki team me chuna gaya hai. Iske alwa Rishabh Pant ki bhi T20 team me wapsi hui hai. Aise me Bhartiya Caption Virat Kohli aur Ravi Shastri ke liye mushibat anne wali hai. Ye mushibat playing 11 ko lekar hai. 
Kyuki is team me ek se badhkar ek best players hain, aur sabhi players playing 11 me jagah banane ka dam rakhte hain. 

ishan kishan, suryakumar yadav and rahul tewatia


Who will be opening from India in Ind vs Eng T20 Series 2021? - Opening me kispar lagega dav?

KL Rahul, Rohit Sharma ya fir Shikhar Dhawan

who is opener in india vs england t20 series? kl rahul, rohit sharma or shikhar shawan

Team India ke regular opener Rohit Sharma ka ek place to pakka hai. Lekin dusare place ke liye jung hai. 
Ek taraf Shikhar Dhawan hain, toh dusari taraf hain, KL Rahul. Inmese kisi ek ko chunana kaafi mushkil hai. 
Rahul ko opening ke jagah koi aur jagah dena naainsafi hogi. Toh wahi Dhawan ne haalhi me Vijay Hazare Trophy me shandar pradarshan kar apni wapsi ki hunkar bhari hai. 


Aise me ab dekhna hoga ki England ke khilaf is T20 series me kya,  Rohit Sharma aur KL Rahul opening karenge; ya fir Shikhar Dhawan aur Rohit Sharma ke sath team India agey badhegi. 
Ya kahi team rotation policy par toh vichar nahi kar rahi hai? 


Who will bat in middle overs in Ind vs Eng T20 series? Middle order ko lekar panga! 

Shreyas Iyer ya Suryakumar yadav

how is middle order batsman in india vs england t20 series? shreyas iyer or suryakumar yadav

Team India me is baar IPL aur gharelu matcho ke superstar Suryakumar Yadav ki entry hui hai. Harr koi maan raha hai ki Suryakumar ki team me jagah banani chahiye. 
Lekin sawal ye hai ki akhir kaha? - Kyuki number 4 pe toh Shreyas Iyer batting karte hain. 
Jisko lekar team management ke samne ye ek aur sawal hai. 


Aise me ye dekha ja sakta hai ki, Australia tour par choti gend ke samne sangharsh karnewale Iyer agar English ballers ke samne asahaj dikhe, toh kuch matcho me Suryakumar Yadav ko bhi mauka diya ja sakta hai. 


Who is the wicket-keeper of team India in Ind vs Eng T20 series? Kaun hoga team India ka wicket keeper? 

KL Rahul ya Rishabh Pant 

who is wicket keeper in england vs india t20 series? kl rahul or rishabh pant

Rishabh Pant ne haal ke dino me jo pradarshan dikhaye hai wo kabiliye taarif hai. Previous matches me Rishabh Pant ne Australia aur England me ballers ki dhajiyan uda di aur match winning pariyan bhi kheli. Aise me Pant ko T20 series ke liye team me mauka diya ja sakta hai. 

Pant ki current form haare huwe match ko jeet me palat dena ka dam rakhti hai, aur unhe wicket-keeper aur batsman ke roop me khilaneh ke liye dawedari thokti hai. 


Aise me shayad is series me Pant ko Wicket Keeper, batsman ke taur par mauka di jaye. Aur KL Rahul ko batsman ke taur par khilaya ja sakta hai. 


Who are the ballers from India In Eng vs India T20 Series? Tez Gend-baazi par fasa pench!  

Bhuvaneshwar Kumar, Shardul Thakur ya Deepak Chahar

who is fastest baller from india in ind vs eng t20 series? bhuvaneshwar kumar, shardul thakur or deepak chahar

Fast ballers ke list me Bhuvaneshwar Kumar lambe sameh ke baad wapsi kar rahe hai. Aur unki pratispardah  Deepak Chahar aur Shardul Thakur se hogi. Bhuvaneshwar halanki apne anubhav aur death overs me behatar balling  ke wajah se Chahar se agge rahenge. 
Lekin unhone ne Mushtaq Ali Tournament me kuch matches ke alawa zyada matches nahi khela. 


Aise me ye dekhna kafi interesting hoga ki kaun team India ka main baller hoga. 


Conclusion -

Team India me sabhi kamal ke players hai. Aur Team India ne 19 players ki list jaari ki hai, jisme sabhi players apne behattrin forms me hai. 
Aise me team management aur Indian Caption Virat Kohli ko ho rahi hai pareshani team selection me. Toh ye dekhna kafi dilchasp hoga ki kaun kaunse khiladiyo ko maidaan me dekha jayega.


Thank you! 


Post a Comment

أحدث أقدم