Pehle Petrol, Diesel aur ab LPG Gas Price lagataar badhne ki wajah kya hai?, GST, Budget 2021, India

Baat karte hain gas cylinder ke badhte daamo ki, 1 March ko LPG cylinder ke daam phir badh gaye. 14.2 Kilo ka bina subsidy wala cyclinder 25 Rs aur mehenga ho gaya. 
Delhi me bina subsidy wala LPG cylinder ab Rs 819 ka milega, pehle Rs 754 ka tha.

lpg gas price increase today

Is saal ke suruwati mahiney me rasoyi gas ke cylinder Rs 175 tak mehenga ho chuka hai. Kyuki pehli january ko gharelu gas par Rs 50 ki badhotri hui thi, phir February me LPG cylinder ke daam teen baar badhe the - 4 february ko Rs 25, 15 february ko Rs 50, aur 25 February ko phir se Rs 25 ki badhotri. Aur phir is mahiney ki 1 March ko phir Rs 25 aur badh gaya.

lpg gas price increase today

Ab 19 Kilogram wale commercial gas ki baat kare- Toh usme bhi Rs 90.50 ki badhotri hui hai. Delhi me cylinder ki kimat Rs 1614 ho gayi hai.


Sarkar ka tark kya hai? Humare Gas Cylinder ke mehenge hone ke piche. Ye Dharmendra Pradhan pichle kuch din pehle Varanasi me bata chuke hain. Ye bayaan ab loot par sunna ja raha hai. 


Toh kya wakyahi yehi kaaran hai ki lagataar LPG ki kimat badh rahi hai? Jaanenge, lekin us se pehle jaan le ki LPG ki kimat tai kaise hoti hai-

  • LPG ka full form kya hai?- Liquified Petroleum Gas.
  • Jab kacche tel se diesel aur petrol bante hain, tab karkhane me kai jwalansheel gases bhi banti hain. Inhe ikhatta kar liya jata hai. Phir dharti ne bhitar bhi prakritik gas milti hai. Inn dono se humey milte hain, propane, butnane aur pentane naam ki gas. Inhi ko milakar LPG banta hai.


Darshak dhyaan de, prakritik gas aur LPG gas me fark hota hai. Prakritik gas ke naam se hi zaahir hai ki wah prakriti me milti hai. Lekin LPG Gas ko karkhane me banaya jata hai. Ab ye samjhne wali hai ki, aise zyadatar karkhane wahi hain, jaha kacche tel ka uttpaadan hota hai. Misaal ke liye Madhyapur.


Bharat me LPG ki kimat IPP - Import Perity Price ke adhaar pe tai ki jati hai. IPP ko International bazaar me LPG ke kimato ke adhaar par nirdhaarit kiya jata hai. IIP Saudi Aramco ke LPG mulya par adhaarit hota hai. 

Isme gas ke uttpaadan, insurance, custom duty, port duty aur dusari cheeze shaamil hoti hain. Ye kimate dollar $ me hoti hain, Sarkar ko LPG ke liye dollar $ me hi kimat chukaani padti hai. International market me jab LPG ki kimat badhti hai, toh desh me bhi badhti hai. 

saudi aramco india

Ek aur wajah hai. Jab rupya kamzor hota hai toh LPG ki kimat bhi badhti hai. Kyuki sarkar ko dollar $ kharidne  ke liye, zyada rupay dena padtah hai.

dollar vs rupya

Desh me aney ke baad LPG me gas ki dhulaai, marketing ke liye lagne wala paisa, tel companiyo ka margin phir bottling, yani usse cylinder me bharne ka kharch aur dealer commission joda jata hai. 


2019 ko July me dealer commission ko gharelu cylinder ke liye Rs 50.58 tai kiya gaya tha. Iski samai samai par, samiksha bhi hoti hai.


Ye sara kharch jodne par gair subsidy wale LPG cylinder ka khudra bikri mulya tai hota hai jisse hum aur aap dete hain. Matlab aap mese wo log jo apni subsidy chodh chuke hain, wo dete hain.

lpg gas filling technology

Isse koi bhi kitna bhi kharid sakta hai. Bharat Sarkar gharelu upyog ke liye ek tai sankhya me cylinders par subsidy deti hai. Us se zyada upyog karna ho toh aapko bazaar dwara nirdharit kimat chukani padhti hai.


Tel companiya har mahiney LPG cylinder ki kimato ki samiksha karti hai.


Expert maante hain, ki is budget me Government ne gas subsidy khatm kar di hai, isliye kimate badh rahi hain.


Aur yahi par mauka mil gaya vipaksh ko-

Rahul Gandhi tweet par tweet kar rahe hain. Likha hai ki Modi Sarkar ne janta ko 3 vikalp diye - 

  • Business band kar do.
  • Chulaah fuko.
  • Jumaley khaao.

Petrol se ulhat, LPG GST ka hissa hai. Aise me Mukhya Salahkar KV Subramanian ka bayaan bhi saamne aya, unnhone kaha ki baaki petrolium uttpaado ko bhi GST ke under laya jayega. Yehi baat Petroleum Mantri Dharmedra Pradhan bhi kar chuke hain.

kv subramanian
dharmendra pradhan


Par asli sawaal ye hai, ki kisi bhi tax vyavastha ke tahet, Kya kendra aur raajya Petroleum uttpaad se aney wale paise ka moh chodh payenge?


Dhanyawaad!




Post a Comment

أحدث أقدم