Kieron Pollard ke ek over me 6 chakko ki puri kahani, World Record of sixes, WI vs SL first T20

Hello! Doston,

West Indies aur Sri Lanka ke bich teen matcho ki T-20 series kheli ja rahi hai.


Isi series ki pehle hi match me West Indies ki team ne, na sirf jeet hasil ki balki Kieron Pollard ne ek aisa kamaal kar diya jo akhsar dekhne ko nahi milta hai. West Indies ke Caption Kieron Pollard ne 1 Over me 6 Sixes jadh diye hain. 


Ye 6 sixes us gend-baaz ke over me pade, jisne issi match me hattrick li thi.


Story -

Darashal west indies ke caption Kieron Pollard ne is match me toss jeet kar pehle gend-baazi chuni. 

Aur 20 overs me Sri Lanka ke team ko 131 runs, 9 wickets par rok diya. 

132 runno ka lakshya West Indies ke dhakkad balle-baazo ke samne chota lag raha tha. 

Lekin ye lakshya us samey bada lagne laga jab, Sri Lankai spinner Akila Dhananjaya ne 1 hi Over me lagataar 3 West Indies khiladiyo ko out kar hattrick le li (W, W, W). 


Unhone teen akraamak balle-baaz - Evin Lewis, fir Chris Gayle, aur fir  Nicholas Pooran ko out kar apni hattrick poori ki hai. 


Lekin hattrick lene ke baad jab Dhananjaya agla hi over karne aye, tab Kieron Pollard ne unnhe hit karna suru kiya aur dekhte-hi-dekhte chakke-pe-chakka jadte chale gaye. 

Aur unhone 1 Over me lagatar 6 sixes lagakar Wolrd Record bana diya.


Match ke baad pollard ne ye bataya ki, "jab maine teesra chakka laga diya, toh uske baad mujhe laga ki ab mai is over me che chakke laga sakta hu."



T-20 cricket me abtak sirf Yuvraj Singh ne hi ye kamaal kiya tha.



Is khabar me filhaal itna hi, lekin ha aise aur cricket se juddi updates paane ke liye, apne is blog: 'Yes Breaking News' ko zaroor follow kare.


B Bye!




Post a Comment

Previous Post Next Post