India vs England ke bich suru hui 5 T20 International matcho ki series ka pehla match England ne jeet liya hai.
Toss haar kar pehle batting karne utri Indian team 20 overs me 124 runs hi bana pai. India ke liye Shreyas Iyer ne sabse zyada 66 runs banaye.
Lekin England ke liye Zofra Archer ne 3 wickets nikale. Jawab me England ne behad asaani se winning ke liye zaruri 125 runs bana liye. Jason Roy ne 59 runs ki paari kheli aur England ne sirf 2 wickets khokar match jeet liya.
Haar ke baad caption Kohli ne kaha, unki team ko pata hi nahi tha ki is wicket par kya karna hai. Kohli ne haar ka thikra pitch par fodne ki kosish karte huwe kaha ki, "pitch ne unki team ko khulkar khelne nahi diya."
Virat Kohli ne kaha -
"Humme pata nahi tha ki humme us pitch par kya karna hai. Humare shots kriyaanvayan ki kami dikhi; yani ki lack of execution dikha aur humme is se paar pana hoga.
Apni galtiyon ko accept kariye aur zyada intent ke sath wapsi kariye. Aur aapko kaha hit karna hai, un erado par clearity rakiye. Wicket ne humme wo shots marne nahi diye, jo hum marna chahte the. Sheryas ne humme dikhaya ki criz ka kaise estemal kiya jaye aur bounch ka faida kaise uthaye."
Kohli ne apni team ki batting ko kharab toh bataya, lekin sath me pitch ko bhi gadbad kaha.
Unnhone kaha ki -
Ye International Cricket ka hissa hai, uttaar chadhaav aate rehte hain. Apna din honne par aap bohot zyada score karte hain aur kai baar yah nahi ho pata."
Virat ne apni baat khatm karte huwe kaha ki wah series me kuch nayi cheeje try karenge lekin sath me unnhone ye bhi kaha ki, England ke khilaaf unki team kuch bhi kahlke me nahi le sakti.
Virat ne agge kaha -
"Apne plan par tikke rahiye lekin ye bhi accept kariye ki bowling team bhi apne plan par success pa sakti hai. Test se twitch karna koi bada factor nahi hai factor nahi ho sakta, saffed gend se acchi cricket khelne me garv mahsoos kariye, humne apni pichli kuch T20 series jeeti hain.
World Cup se pehle ki inn 5 matcho me humme kuch cheeje try karni hai, lekin hum England ke khilaaf kuch bhi halke me nahi le sakte."
5 matcho ko series me England ab 1-0 se agge hai. Series ka 2nd match - Sunday, 14th March, 2021 ko Narendra Modi Stadium me khela jayega. Aur is match ki bhi puri coverage aapko aapke is blog 'Yes Breaking News' par mil jayegi.
Aaj ke liye bas itna hi, asha karte hain aapka din subh ho.
Thank You!
Humare social media handles ko bhi zarur check ki jiye.
إرسال تعليق