Sabse pehle aapko aur aapke parivar ko "Yes Breaking News" ki team ke taraf se is saal ki holika aur holika ke tyohaar ki dhero subh kamaye.
Kab hai holika 2021? | date of holika 2021 | is saal holika kab hai? | Holika kab hai? -
Sunday, 28th March 2021
Holika dahan 2021 in India
Aur,
Holi kab hai? | date of holi 2021? | is saal holi kab hai? | kab hai holi 2021? -
Monday, 29th March 2021
Holi 2021 Festival in India
Toh aaj apki request par hum leke aye hain, exclusive aapke liye holika 2021 ki status aur wishes jisko aap apne whatsapp par kisi ko bhi share kar unhe wishes bhej sakte hain aur sath hi unhe apne profile ya status par share kar sakte hain.
Sath hi sath apki request par hindi me humne laya hai Holika ki ek pyari si kahani. Toh sabse pehle jaante hain kahani aur kahani ke thik nichey hai aapke liye taiyaar kiya gaya ekdum best Holika wishes.
Holika kyu manate hai? | Holika ki kahani kya hai? | Why is holika burnt?
Prachinkal me atyachari rakshas-raj "Hiran Kashyap" ne tapasya karke bhagwan "Bramha" se vardan mang liya. Ki,
"Sansar ka koi bhi devi-devata, jeev-jantu, rakshas ya manushya usse na maar sake; naahi wo raat me mare, nahi din me mare, na pritvi par, na akash me, na ghar me, na bahar. Yaha tak ki koi weapon bhi usse na maar paye."
Aisa wardan pake wo bohot ahangkari ban baitha. Hiran Kashyap ke yaha "Pralhad" jaisa bhagwan me atoot vishwas karne wala bhakt ladka paida huwa. Pralhad bhagwan Vishnu ka param bhakt tha, aur uspar bhagwan vishnu ki kripa drishti thi.
Hiran Kashyap ne pralhad ko order diya ki woh uske samne kisi aur ki pooja na kare. Pralhad ke na manane par Hiran Kashyap usse jaan se marne par utaru ho gaya. Usne Pralhad ko marne ke anek upai kiye, lekin Pralhad bhagwan Vishnu ke kripa se bachta raha.
Hiran Kashyap ki behen holika ko aaj se bachne ka vardan tha. Usko vardan me aisi chaadar mili hui thi jo aag me nahi jalti thi.
Hiran Kashyap ne apni behen Holika ki madat se Pralhad ko aag me jalakar marne ki yojana banai.
Fir Holika vardan wali chaadar odhkar Pralhad ko lekar ek aag me jakar baith gayi. Aur Bhagwan Vishu ki kripa se weh chaadar Holika ke upar se utar kar balak Pralhad ke upar ja padi.
Aur is wajah se Holika jalkar wahi bhasam ho gayi. Is prakar Pralhad ko marne ke upai me Holika ki maut ho gayi.
Tabhi se Holika tyohaar manaye jane laga.
Fir Hiran Kashyap ko marne ke liye Bhagwan Vishnu Narsimha avtaar me ek khambe se nikalkar, na subah na shyam balki uske bich ka samay yani ki dopahar ke samay; na ghar ke andar na ghar ke bahar balki darwaje ki chaukhat par baithkar atyachari Hiran Kashyap ko maar dala.
Tabhi se Holi tyohaar manaya jane laga.
For Holika and Holi Status:
Thank You!
إرسال تعليق