Aamir Khan ke career ki khubsoorat yaadein, On this special day of Aamir Khan's Birthday

14th March, yani Mr. Perfectionist ka Happy Birthday. 

amir khan birthday celebration, happy birthday aamir khan

Wo hero jisko kisi pehechan ki zarurat nahi hai. Aamir Khan ne apni mehanat ke dum par ucchai ke uss mukaam ko chuva hai, jiske sapne harr koi dekhta hai. Aamir Khan ne apne filmy career me ek se badhkar ek superhit films diye hain. Itna hi nahi Aamir Khan ka naam unn bade sitaron ke naam me bhi shaamil hai, jinke sath lagbhag harr koi kaam karna pasand karta hai. 


Aapko bata de ki Aamir aaj apna, 56th Janamdin mana rahe hain. 

amir khan ke bachpan ki tasveer, childhood memories of amir khan

1965 ko Mumbai me janme Aamir, film industry ke kuch aise kalakaron mese ek hain, jo harr baar ek naye concept par films leke atte hain. Unnhe apne film me sabkuch perfect chahiye hota hai. Iske liye wo puri jeejaan laga dete hain.


Aapko bata de Aamir matr 11 saal ki umr se films me kaam kar rahe hain. Aamir Khan ko acting ka bachpan se hi shauk tha. 

amir khan ka bachpan, amir kahn childhood

Filmy Career -

amir khan ki purani movies, amir khan first movie

8 saal ki umr me Aamir ne 1973 me release hui film "Yaadon Ki Baaraat" me kaam kiya tha. 


Lekin baraut lead actor Aamir Khan ne film "Qayamat Se Qayamat Tak" me kaam kiya. Unki ye film superhit hui. Film ne boxoffice me khub kamayi ki. Is film ne kayi awards bhi apne naam kiye. Film me "Papa kehte hain bada naam karega" gana, logon ki zubaan par abhi bhi chadha huwa hai.

 
Uske baad unnhone Dev Anand ki film, "Awwal Number" me bhi kaam kiya. Is film me Aamir Khan ne cricketer ka roll nibhaya. Film me Aamir Khan ki acting ki kaafi sarahana 
ki gayi.  


Aur fir uske baad "Jo Jeeta Wohi Sikandar" ne maano Aamir Khan ko bollywood ka hi Sikandar bana diya ho.
 

amir khan bachpan kahani

Aamir Khan honored by huge awards -

amir khan awards

Aamir ne Mr. Perfectonist ke tag ke sath kayi awards bhi apne naam kiye. Unnhe Bharat Sarkar ne saal 2003 me "Padma Shri" aur saal 2010 me "Padma Bhushan" se nawaza tha.

Wahi zabardast acting ki wajah se saal 2017 me China ki Sarkar ne unnhe "National Treasurer Of India" se sammanith kiya tha. 



Ek bollywood fan honne ke nateh humto yehi ummeed karenge ki, Aamir Khan annewale samay me bhi humme ek se badhkar ek films de.

amir khan ki age

Par filhaal Aamir Khan ko unke 56th birthday ke mauke par "Yes Breaking News" team ki or se dhero subhkamnaye.


Thank You!


Post a Comment

Previous Post Next Post