Ayesha Banu Makrani,
23 years ki thi, 25 February ko unhone Gujarat ke Sabarmati nadi me khud kar jaan de di.
Ayesha shadi-sudah thi. Pati aur sasuraal walo ki utpeedan se pareshan thi, aise aarop lagaye gaye.
Video me unhone apne pita Liyakat Ali Makrani se appeal karte huwe kaha ki, wo unke pati Arif Khan ke khilaaf gharelu hinsa ka jo case darj kiya hai wo waapas le le.
Apne Video me Ayesha ne kaha -
"Hello, Assalam Walekum.
Mera naam hai Ayesha Arif Khan.
Mai jo kuch bhi karne ja rahi hu, apni marzi se karne ja rahi hu. Kisi ke zor, dabaav me nahi. Ye samajh li jiye ki khuda ki di zindagi itni hi hoti hai.
Dear Dad,
Arey kab tak ladenge apno se. Case withdraw kardo. Ab nahi ladna. Pyaar karte hain Arif se. Usse pareshan thodi na karenge. Agar usse azadi chahiye. Toh thik hai, wo azad rahe."
Indian Express ke report ke mutabik -
Filhaal khabar ye hai ki Ayesha ke pati ko Gujarat police ne Rajasthan ke paali se giraftaar kar liya hai.
Gujarat police pehle Jalaur se Arif Khan ke ghar pohochi thi. Waha Arif nahi mile toh technical analysis ke zariye Pali me unka pata chala. Ab Arif ko transit remand ke tehat Ahemdabad laya jayega.
Ayesha ke khudh-khusi ke turant baad, unke pita ke sikayat par police ne Arif aur unke gharwalo ke khilaaf, dahej-utpeedan, gharelu hinsa aur suicide ke liye ukshaane ka case darj kiya.
Ek private bank me kaam karnewali Ayesha ki shadi 6 July, 2018 ko hui thi. Arif Khan us samey mining sector me kaam karta tha.
India Today ki report ke anusaar -
Ayesha ke pita ne bataya ki, shadi ke turant baad hi sasuraal wale Ayesha par dahej ka dabaav banane lage the. Usse kaafi marte pit-te the.
Unhone agey bataya -
"5 December, 2018 ko ladaai ke baad Ayesha maikey aa gayi. Maine Arif aur beti ke bich sulaah karwaai aur beti ko Jalaur wapas bhej diya.
Par July, 2019 me Arif ne phir Ayesha ko wapas se Ahemdabad bhejaa.
Iske baad 26 January, 2020 ko Arif ne mujhse 2.5 lakh rupay dahej liye, fir Ayesha ko apne paas waapas bulaya. Wo Ayesha se phone par bhi baat nahi karta tha. Kuch dino pehle Ayesha ne khud-khusi karne ki dhamki di toh Arif ne kaha ki, marna hai toh jaake mar jaa."
Pita ka aarop hai ki paise lene ke baad bhi sasuraalwale Ayesha ko maarte pit-te rahe aur usse dubara 10 March, 2020 ko wapas bhej diya.
Inn sabse Ayesha kaafi pareshan thi.
Apne emotional video me Sabarmati nadi ko dekhte huwe Ayesha agey kehti hai -
"Pyari si nadi, pray karti hu ki ye mujhe apne aap me sama le. Aur mere pith piche jo bhi ho, parr please zyada bakheda mat karna."
Indian Express ke report ke mutabik -
Police ko Ayesha ka call record bhi mila hai.
Suicide se pehle Ayesha ne Arif se 72 minutes tak baat ki thi. Wahi apne mata-pita se lag-bhag 5 minutes ki.
Apne mata-pita ko Ayesha ne khud-khusi karne ke baare me bata diya tha. Dono ne Ayesha se aisa na karne ki minnateh ki thi.
Unke pita ne call ke turant baad police ko bhi suchana de di thi, halanki police samey se nahi pohoch paai. Jab pohochi tab tak Ayesha is duniya se ja chuki thi.
25 February ko unka sav, shaam 4:30pm ko nadi se nikala gaya.
Bas aaj ke liye itna thi.
Dhanyawaad!
إرسال تعليق